Main usko phir naye khuwabon ka jahan de aaya.!
Zameen bun kr usy aasmaan day aaya.!
Khuda k wastay milnay ki rah de mujhko.!
Gham-e-firaq ka her imtayhaan de aaya.!
Na ki zara bhi wazahat kisi b jazbay ki.!
Ussy yaqeen tha or main gumaan day aaya.!
Woh chahata tha k ho karobaar-e-ishq WASI
Main usko dard ki sari dukaan day aaya.!
Bara fareeza tha tableegh-e-ishq meray liye..!
Main munkiron ki zameen per azaan day aaya.
No comments:
Post a Comment