Wednesday, March 28, 2012

Jahan dilon mein wafa ka guzar nhi hota

Wo ek makan to hota hai ghar nhi hota

Chaly bhi ao judai ka ab to har lamha

Bahot kathan hai aakely basar nhi hota

Chalo khizaon se pochein pata baharon ka

K dushmano se bara koi ba-khabar nhi hota

Safar mein youn to hazaron ka sath hota hai

Har aik shakhs magr hamsafar nhi hota

Nahi hai mehr-o-wafa a dost ab kisi dil mein

Isi liye to kisi bhi dua mein asar nhi hota..............
Bharosa Toot jane se zra pehley bta dena

Mujhe tum Aazmaney se zra pehley bta dena

Kisi Helay bahaney se zra pehley bta dena

K Mujhko tum bhulane se zara pehly bta daina

Suno ! daman Churaney se zra pehly bta dena

Kisi b mor pe hmdam bura pao agar mujhko

Zmane k btaney se zra pehle bata dena.
Kitab-e-dil mein jo nafrat ka baab rakhta tha,

Woh chahton ka mukamal hisaab rakhta tha,.

Faraib deta raha dil lagi k pardon mein,

Woh shakhs chehray pe kitny naqab rakhta tha,.

Kahan talash kro gy tm mujsa shaks MOHSIN,?

*K apni zaat say zayada TERA khayal rakhta tha*
Main usko phir naye khuwabon ka jahan de aaya.!

Zameen bun kr usy aasmaan day aaya.!

Khuda k wastay milnay ki rah de mujhko.!

Gham-e-firaq ka her imtayhaan de aaya.!

Na ki zara bhi wazahat kisi b jazbay ki.!

Ussy yaqeen tha or main gumaan day aaya.!

Woh chahata tha k ho karobaar-e-ishq WASI

Main usko dard ki sari dukaan day aaya.!

Bara fareeza tha tableegh-e-ishq meray liye..!

Main munkiron ki zameen per azaan day aaya.
Rotha jo Pyar Hum Se Dobara Nh¡ M¡la

Kya Bewafa tha Shakhs Dobara Nh¡ M¡la,

Ik Bar aa Gaya Tha Sailab Aankh Me

Darya ko us k Bad K¡nara Nh¡ M¡la

Mujh ko B Raas Aata Nh¡ Dosra ko¡

Usko B Mere Ja¡sa Sahara Nh¡ M¡la

Barson se ph¡r Rha Tha Me J¡s k¡ Talash Me,

Wo M¡l Gaya to Us se S¡tara Nh¡ M¡la..
Aaj bi us se milne ko dil chata hai

Pas baith k baat karne ko dil chahta hai

Itna haseen tha us ka anso pochne ka andaz,,

Aj phr rone ko dil chahta hai: